Posted by : Devesh Tripathi Tuesday, 23 July 2013

 Hum Tere Sheher Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah


Hum Tere Sheher Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Ghulam Ali
Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De...(2)

 Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kaha, Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha, Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De!!
Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah...(2)

 Apani Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Juganu Meine, Apani Palko Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Meine, Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De!!
Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah...

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le, Kap Kapate Huae Hotho Ki Shikaayat Sun Le, Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauqa De De!!
Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah...

 Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyuu Tha, Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha, Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauqa De De!!
Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah...

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De...(2)






{ 1 comments... read them below or add one }

Subscribe YouTube

Popular Post

Powered by Blogger.

- Copyright © Devesh Tripathi's Blog -Metrominimalist- Powered by Blogger - Designed by Johanes Djogan -